Jaane Fiverr kya hai or Fiverr se ghar baithe paise kamaye
Dosto agr aap mera ye article padh rahe hai to mujhe pta hai aap sabhi yaha yahi padhne aaye hai ki akhir Fiverr kya hai or fiver se ghar baithe paise kaise kamaye jaate hai. To aaj ham apke inhi sawalo ka jawaab denge or sath me poori koshis krunga ki aap bhi is article ko padhne ke baad Fiverr se khoob paise kama sake.
Fiverr kya hai
Fiverr ek esi website hai jaha par apko asaani se online kaam mil jayega jise aap ghar baithe kare or online ghar baithe paisa kamaye. Yaha par apko jo bhi kaam ache se aata hai vo kaam kar skte hai or asaani se har ek kaam ke minimum 5$ tak ki income kar skte hai. Jaise ki yadi apko photo editing ka shonk hai or aap bahut achi photo editing karte hai to jin logo ko apni photo edit krwani hoti hai unke photo unse le kar edit karke bapis kar de to vo badle me apko $ denge.
Fiverr par account kaise banaye
Fiverr par account banane ke liye sabse phle apko Fiverr ki official website par jana hoga. Yadi apko pta nahi hai ki fiverr ki official website kya hai to aap yaha click karke bhi inki official website par jaa skte hai.
Jab aap fiverr ki official website open kroge to apke samne kuch esa interface hoga. Apko uper dikhaye gaye Join button par click krna hoga.
- Aap Facebook se bhi isme sign up ho skte ho.
- Yadi aap apni Gmail se sign up krna chahte ho to aap Gmail se bhi sign up kar skte ho.
- Yadi aap apni Email id se sign up krna chahte ho to aap Email id se bhi sign up kar skte ho. Is box me apni email id likh kar continue par click kare.
Fiverr se paise kaise kamaye
Sab kuch krne ke baad jo main cheez hai vo to yahi hai ki akhir Fiverr se paise kaise kamaye. To dosto Fiverr par neeche diye gaye kaamo se aap paise kama skte hai.
- Photo Editing
- Writting
- Marketing
- Graphic Designing
- Web Designing
- Video Editing
- App Development
- Kisi ka diya link apne facebook page par share krna.
- Koi Whatsapp message ko bahut sare groups me bhejna.
- Comments krna.
- Kisi ke diye photos me jo likha hoga use computer me type krna
- Internet Research etc
Gig kya hai
Gig banane se phle pta hona chahiye ki akhir gig hoti kya hai, to dosto me apko bta dena chahta hu ki gig hoti hai apki apki ek profile jo logo ke samne jaati hai or aap kya kaise or kitne samay or kitne paise le kar krte ho usme sabhi kuch likha hota hai or uske sath ye bhi likha hota hai ki apne is kaam ko kitni baar kiya hai or last bar kab kiya hai.
Fiver par pehla order kaise le
Dosto fiverr me itna paisa hai ki aap log soch bhi nahi skte hai, Fiverr par jitna paisa ap log kma skte hai mujhe nahi lgta hai ki aap log job krke utna paisa kama pao lekin fiverr me jo sabse badi problem aati hai vo yahi hai ki order hi nahi milta hai mera matlab hai ki apko koi order hi nahi deta hai jisse ki aap paisa kma sako. To me apko bta dena chahta hu ki apko order neeche diye gaye karno se nahi milta hai.
- Fresh profile hone ke karn.
- Isse phle koi bhi order nahi mila hone ke karn koi bhi fresher ki jgha ese person ko hi prefer krta hai jisne phle kaam kiya ho or jisse phle kisi ne kaam krwaaya ho.
- Prise, ab aap khud hi soche agr apne kisi kaam ki kimat 10$ rakhi hai or usi kaam ko koi experience bala bnda bhi 10$ me kar rha hai to vo apko kyo prefer karega vo to experience holder ko hi prefer karega.
- Sample work, yadi apne apni profile me apna sample work nahi lgaaya hai to samjh le ki apko koi bhi kam nahi milega.
- Offers check nahi krna or unke liye apply nahi krna bhi order na milne ka sabse bda karn hota hai.
- Apna prise dusro se km rakhe par itna bhi km na rakhe jisse samne wala sochne lage ki ise kaam nahi aata hoga tabhi saste me kar rha hai, bas dusro ke comparison me km rakhe.
- Offers par thoda dhyaan de or jo bhi offer dikhe jaroor hi apply kar de.
- Sample work jaada se jaada add kare taki apke kaam par logo ki nazar pade.
- Or last or sabse jada jaroori tip ye hai ki phle ke kuch order khud se hi khud ko de de taaki apki profile pe kuch order successful ho jaaye taaki jo bhi dekhe to use lge ki isne phle kaam kiya hai or ise kaam aata hai.
Fiverr par bahut sare paise kaise kamaye
Dosto yadi aap bhi chahte hai ki aap bhi Fiverr par kaam karke bahut sara paisa kamaye to dosto iske lie bhi apko ek rasta btane jaa rha hu jo ki neeche likha gya hai.
- Fiver par account bna kar bahut sari gigs bna le.
- Jab bhi kisi gig par apko order aaye to aap us order ko le kar kisi or ko vo kaam krne ke lie de de jaise ki 10$ me kaam le kar aap use 5-8$ tak kisi or se karwa kar khud aram se paise kma le.
- Isse aapko har din bahut se order ayege or aap bahut sara paisa bhi kma loge or apko khud kaam krne ki jaroort bhi nahi padegi.
- Ye kaam krne ke liye aap logo ko thodi mehnat to krni padegi lekin agr apki mehnat fal layi to aap soch nahi skte hai ki aap kitna jaada paisa har din kma payege.
Conclusion
Asha krta hu ki aap logo ko Fiverr kya hai ye samjh me aa hi gya hoga or Fiverr se ghar baithe kaise kamaye ye bhi pta chal hi gya hoga. Dosto abhi bhi agr aap me se kisi ko koi bhi doubt hai to aap log mujhe comment kar ke puch skte hai. Or me apke comment ka reply krunga. Or yadi aap me se koi ye chahta hai ki online tareeke se or kaise paise kamaye jaate hai to aap yaha click karke seekh skte hai ki online paise kaise kamaye jaate hai.