Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Banaye Part-6
Namaskaar dosto aap sabhi ka ek baar fir se Earning Tips In Hindi me swagat hai, to aaj fir se aap sabhi ke samne website ke liye backlink kaise banaye iska part-6 le kar hazir ho gya hu or batane jaa rha hu website ke liye dofollow backlink kaise banaye. To dosto yadi article pasand aa rha ho to aap comment box me jaroor bataye isse hame bhi achcha lgta hai or likhne me bhi mza aata hai.
Jane Website Ke Liye Do-Follow Backlink Kaise Banaye Part-6:
To dosto aapka jada samay barbaad na karte huye aayiye to shuru karte hai or dikhate hai apko vo method jisse ki aap apni website ke liye dofollow backlinks bna skte hai. Chaliye dosto to shuru krte hai.
Do-Follow Backlink 1:
Sabse pehle to aap yahan click kare or page open kar le, uske baad apke samne kuch esa interface open hoga jaise ki apko uper dikhaaya gya hai, uper tasveer me jis place par apko bataya gya hai us place par apko apni url enter kar deni hai.
Or url enter kar dene ke baad apko submit button ke uper click kar dena hai or fir thodi der wait krna hai. Abhi apki website ke bare jankari calculate hogi.
Or fir kuch is trh se show hogi jaise ki apko uper Earning Tips In Hindi ki jankari show ho rahi hai. Or esa krne se apki website ka link inke system me add ho jayega or apko ek dofollow backlink bhi mil jayega.
Do-Follow Backlink 2:
Dusra dofollow backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan click kar ke page open kar le, or kuch esa page open ho kar ayega apke samne, aap jo bhi data manga jaaye vo sabhi data fill kar de or uske baad apna account bna le.
Jab aap sara ka sara data fill kar denge to uske baad ye page badal kar kuch esa ho jayega, or yaad rkhe apni website ki URL enter karna na bhoole. Or aap chahe to meri trha bio me apni website ka link bhi add kar skte hai jiska code apko neeche diya gya hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Or aap apni website ki URL or keyword jaroor istemal kare. Or uske baad complete registration ke button ke uper click kar de.
Abhi apke samne ek esa message show hoga ki apki Email ID par ek confirmation email send kiya gya hai aap ise confirm kar le. Aap apni email id open kar ise confirm kar de.
Jab aap apna email verify kar lenge to uske baad apke samne bhi ek esa message show hoga, Vese to abhi apka backlink ban gya hai par fir bhi aap dekhna chahte honge ki akhir backlink kahan bna hai. To aap fir se login kar le us detail ko fill kar ke jo apne sign up ke liye istemal ki thi.
Or jab aap sign in kar lenge to apke samne ek esa interface show hoga, yahan par aap view your public profile page jo diya uske uper click kar dena hai.
Jab next page open hoga to vo kuch esa hoga usme apko apka baclink nazar ayega, jo url apne put ki thi vo bhi show hogi or jo bio me code istemal kar ke apne backlink banaya tha vo bhi show hoga.
Do-Follow Backlink 3:
Teesra backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan click kare or page open kar le, or uske baad jo bhi interface apke samne open ho kar ayega usme aap create account ke uper click kar de jaise ki apko uper tasveer me dikhaya gya hai.
Abhi apke samne jo form open hoga use fil kar de jaise apko bataya hai vese vese, par dosto uper ek jgha par mene red cross kiya hai usko fill karne ki koi jaroort nahi hai. Ye sabhi kuch fill kar dene ke baad create account ke uper click kar de.
Abhi apka account ban kar tyaar ho jayega or abhi apko uper tasveer me dihaya gya hai vahan par click kare, mera naam earning tips in hindi hai to mere me esa likha hai apne jo naam likha hoga apke me vo show ho rha hoga, iske uper click kar de.
Or fir my profile ke uper click kare, jaise ki apko uper tasveer me dikhaaya jaa rha hai bilkul ese hi.
Abhi aap Edit my profile ke uper click kar de jaise ki apko uper tasveer me bhi dikhaya gya hai.
Abhi apko ek esi place dikhegi jahan par aap apni website ki URL enter kar sakte hai, Or yahan par aap apni website ki URL enter kar de.
URL enter kar dene ke baad abhi aap save setting ke uper click kar de.
Abhi ek baar fir se uper jaa kar My Profile ke uper click kare.
Abhi jo backlink apne banaaya hai apko samne dikhne lgega jaise ki apko earning tips in hindi ka dikh rha hai bilkul ese hi.
Do-Follow Backlink 4:
Fourth dofollow backlink banane ke liye sabse pehle apko yahan click karna hoga, yahan click karne ke baad apke samne kuch esa interface show hoga jo ki apko uper tasveer me show ho rha hai.
Abhi isme apko vo sabhi kuch enter kar dena hai jo bhi apko enter krne ke liye kaha ho. or uske baad Post This Comment ke uper aap click kar de.
Or abhi jab aap comment post kar denge to page ko refresh krne ke baad apko apka comment jo hai vo ese neeche likha hua dikhai dega jaise ki uper tasveer me apko mera Earning Tips In Hindi ka dikh rha hai.
Do-Follow Backlink 5:
Fifth backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan par click kare or uske baad jo page apke paas open hoga vo kuch esa hoga jo ki apko uper tasveer me dikhaaya jaa rha hai. Yahan par apko create account ka option dekhne ko milega to yaha par apko click kar dena hai.
iske bad apko apke samne kuch esa dekhne ko milega, Yahan par apko apna sara data fill kar ke apna ek new account bna lena hai.
Jab aap create account button ke uper click kar denge to uske baad ye apko apki email par ek verification email send karenge apko apni email id ko open kar ke us link par click kar ke apna account activate kar lena hai.
Or account activate karne ke baad apko ek baar fir se sign in kar lena hai.
Jab aap sign in kar lenge to uske baad apko us place par My account par click karna hai jaha par apko uper image me dikhaya gya hai. Par apko dhyaan is cheez ka rkhna hai ki kahi logout ke uper na click ho jaaye.
Uske baad apke samne ek esa interface show hoga yahan par apko Edit My Profile ke uper click kar dena hai.
Or abhi apke samne ek esa interface hoga yahan par apko fir se code paste karna hoga jo ki apko neeche diya gya hai.
<a href="http://www.apki website ki URL.com/">Apki website ka naam</a>
Or fir se us baat ka dhyaan rkhna hai ki apko apni url or keyword ko jaroor change kar lena hai. Or esa krne ke baad apko edit ke uper click kar dena hai.
Or iske baad aap Jahan uper image me dikhaya gya hai us place par click kar de.
Or jaise ki ap is place par click karenge to apke samne kuch esa interface show hoga or apko apka bnaya gya backlink samne dikh jaeyega.
Conclusion:
Dosto to is tarh se apki website ke paas or bhi 5 backlink ban kar tyaar ho jayege or apki website ki ranking jo hai vo or bhi achi ho jayegi. Or ese hi apni website ke liye backlink banate rhne ke liye aap Earning Tips In Hindi ke sath judey rahe.
Or dosto ek jaroori baat bahut hi jaldi next article bhi aane wala hai isliye aap website par nigrani rakhe kahi esa na ho ki aap article ko mis kar jaaye.
0 Comments