September 1, 2023

Google Adsense account kaise banaye

Google Adsense account kaise banaye



Google Adsense account kaise banaye


Website bnana aaj ke samay me koi badi baat nahi hai jise coding nahi aati hai vo bhi aaj ke samay me badi hi asani ke sath website bna skta hai or khoob paisa kama skta hai. Par website banane ka fayda tabhi hoga agr hmare pas Google Adsense account ho par iske liye sabse phle ye pta hona chahiye ki Google Adsense account kaise banaye to is article me ham apko btaege ki akhir Google Adsense kya hai  or Google Adsense account kaise banaye.

Google Adsense kya hai

To Jab bhi aap kabhi search krte ho ki Google se paise kaise kamaye to me apko btana chahata hu jo bhi google se paise kamata hai vo Google Adsense ka isktemal kar ke hi paisa kmata hai. Google Adsense ek ad agency hai jo ki apki website par apni ads lgati hai or jab bhi koi us ad ko dekhta hai ya fir us ad ke uper click krta hai to google apko paise deta hai. Or agr aap soch rahe hai ki akhir Google Adsense kitne paise deta hai to me apko btana chahta hu ki Google Adsense ek click ka kitna bhi paisa de skta hai agr apki website par click USA ya UK se aaye to apko ek click ka 100 rupaye se uper bhi mil skta hai.

Adsense account banane ke liye jaroori cheeze

Google Adsense banane ke lie jo cheeze hame jaroori hoti hai vo neeche likhi gayi hai:
  1. Gmail ID
  2. Website 

Google Adsense account kaise banaye

Google adsense account banane ke liye apko neeche diye gaye sabhi steps ko follow krna hai or samjh jayege ki Google adsense account kaise banaye.

Sabse phle aap yaha click karke adsense ka signup page open kar le or apni gmail id se waha par enter kar jaaye.

Uske baad apni website ka link isme enter kar de or apni language ko choose kar le.

Uske baad apna number verify kar ke or terms and condition pe click karke aap sign up ho jaaye.

Uske baad Adsense apko apni site ko Google adsense se link krne ke liye ek code dega jise apko apni website par jaa kar lgaana hoga jisse ki google ko pta chale ki aap kaha par ads lgaana chahte hai or apko website par use aproval dena chahiye ya fir nahi dena chahiye.

Aap is code ko copy kar kar le or apni website par ja kar is html code ko paste kar de.
Thode din intezaar krne ke baad apko google se ek mail aeyga ki apko approval mil gya ha or aap apni website par ads chla skte hai.

Or yadi apko approval nahi milta hai to aap kuch dino baad apni site modify kar ke fir se approval ke liye bhej skte hai or apko bahut hi jldi approval mil jayega. Or agr apne ye sabhi steps follow kar liye to samjh le ki apko apke swal ka answer mil gya ki Google Adsense account kaise banaye.
Yadi apko koi bhi problem aati hai or ap mere sath contact krna chahte hai to aap uper diye contact us par click kar ke mere sath contact kar skte hai mera whatsapp number bhi apko vehi par milega.

Also Read These Articles:

  : Online Paise Kamane Ka Tarika
  : WhatsApp Se Paise Kamane Ka Tarika
  : Backlink Kaise Banaye Step By Step Method