Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Banaye Part-5
Namaskar dosto aap sabhi ka ek baar fir se Earning Tips In Hindi me swagat hai. To jaise ki apko pta hai ki website ke liye backlink kaise banaye ye series chla hua hai to aaj fir se ham isi series ka 5th article le kar aaye hai jisme ek baar fir apko practically dikhaya jayega ki akhir website ke dofollow backlink kaise banate hai.
To dosto aap jra dhyaan se dekhna ki backlink kaise banaye jaa rahe taki aap apni website ke liye bhi backlink bna sake. Or yadi koi problem apko aati hai to mera whatsapp number apko contact us page par diya gya hai vahan par jaa kar aap mere sath contact kar skte hai. To chaliye fir aaj ka article shuru karte hai.
Jane Website Ke Liye Do-Follow Backlink Kaise Banaye part-5 :
To dosto yadi article pasand aa rha ho to aap comment box me jaroor likhe taki hame bhi kaam karne me or jada mza aaye.
Do-Follow Backlink 1:
Sabse pehla dofollow backlink banane ke liye sasbe pehle to apko yahan click karna hoga, Uske baad apke samne jo page open ho kar ayega to apko page ke bilkul end me jaana padega or uske baad apke samne comment box show hoga yahan aap jo bhi detail mangi gayi hai fill kar de.
Or jab aap sabhi kuch fill kar denge to uske baad apka jo interface hai vo kuch esa show hoga. To apko yaad rkhne wali baat ye hai ki apko name ki jgha par apna keyword hi likhe isse keyword rank hone me help milegi. Or uske baad neche diya gya comment ka button press kar de.
Abhi jab aapka comment ho jayega to uske baad apke samne kuch esa show hoga or yahi apki website ke liye dofollow backlink hoga.
Do-Follow Backlink 2:
Dusra dofollow backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan click kar ke website open kar le, or uske baad jaise ki apko uper dikhaya gya hai register button ke uper click kar ke register ho jaaye.
Jab aap register button pe click karenge to age apke samne kuch esa interface show hoga yahan jo bhi detail apse mangi jaaye aap fill kar de. Or fir Register button ke uper click kar de.
Jab aap apni saari detail fill kar denge to uske baad ye jo page hai vo kuch esa dikhega. Or register ke button ke uper click karte hi apka account ban jayega.
Jaise hi apka account ban jaaye aap apne account me sign in kar le.
Sign in krne ke baad aap fir se yahan par click kare or page ke bilkul end me jaaye or neeche apko reply ka option dikhega jaise ki apko uper bhi dikh rha hai. Or yaha par jaa kar click kar de.
Jab aap reply ke uper click kar denge to uske baad kuch esa page open ho kar apke samne ayega yahan par neeche di gayi image ke jaise likhe.
Is image me aap dekh rahe honge ki mene ek code istemal kiya hai apko bhi is me likhte samay esa hi code ismtemal krna hai. Code apko neeche diya gya hai.
[URL=www.apki weebsite.com]Apke keywords[/URL]
Jaise ki apko uper dikh rha hai ye code enter kar de or apni website ki url or keywords dalna bilkul bhi na bhoole. Or iske baad aap save button par click kar de.
or uske baad apko dikh jaeyga apka banaaya hua backlink samne hi aa rha hoga or apka ek or backlink tyaar ho gya hai.
Do-Follow Backlink 3:
Teesra dofollow backlink banane ke liye sabse pehle aap yahan click kare or page ko open kar le. Or jab aap yahan click kar ke page open karenge to apke samne ek esa page open hoga yahan par aapko sign up ka option dikhega. Aap yahan par click kar ke sign up kar le.
Jab aap click karnge to apse pucha jayega ki aap kaise sign up karna chahte hai to aap Login with google par click kare or login ho jaaye.
Or fir apke samne ek esi screen ayegi yahan par aap next ka button dwa kar aage chale jaaye.
Uske baad fir se apke samne ek esi screen aeygi or aap fir se next ke uper click kar de.
Uske baad apke samne esa interface hoga or apko jahan par screen me dikhaya jaa rha hai us place par click kar de.
Jab aap yahan par click karenge to apke samne ese down list show hogi, aap isme My Profile ke uper click kar de jaise ki apko uper image me bhi dikhaaya hai.
Uske baad apke samne ek esa interface hoga yahan par aap Edit ke uper click kar de.
Or edit krne ke baad jo apke samne interface show hoga vo kuch esa hoga, Yahan par aapko url enter kerne ke liye place milega. Aap yahan par apni website ki URL paste kar de.
Jab aap apni website ki URL paste kar denge to uske baad apki website kuch ese dikhegi jaise ki meri website dikh rahi hai.
Abhi neeche jaa kar aap Update ke uepr click kar de.
Or update ke uper click karte hai sath me esa chota sa likha hua ayega ki updated. To iska matlab hoga ki apki profile jo hai vo update ho chuki hai.
Abhi aap fir se My profile ke uper click kar de jaise ki apko pehle bataya tha vese hi.
Abhi apko apki website ka link samne dekhne ko mil jayega. Or aap jab is link ke uper click karenge to aap apni website ke uper chale jayege. Or ye ek dofollow backlink hai.
Do-Follow Backlink 4:
Fourth backlink banane ke liye sabse pehle to aap yahan par click kare or fir uske baad apke samne ek esa interface show hoga. Yahan par apko apki url enter karne ke liye kaha jayega. Aap yahan par apni url enter kar de.
Or jab aap ani url enter kar denge to uske baad aap chekup ke uper click kare. Or esa krne par apki URL check hona shuru ho jayegi.
Jab apki URL check ho jayegi to inke khud ke database me apka link reh jaeyga jisse ki apko backlink ptapat ho jayega.
Do-Follow Backlink 5:
Fifth backlink banane ke liye aap sabse pehle to yahan click kar le or uske baad jo page apke samne open hoga usme aap sabse pehle to sign up kar le or apni URL enter karna bilkul bhi na bhoole.
Jab apna ye form bilkul fill kar denge to uske baad ye kuch esa dikhega or aap iske baad submit URL ke button ke uper clic kar de.
Jab aap apni url ko submit kar denge to uske baad apke samne kuch esa interface open ho kar ayega, yahan par aap jahan par uper image me dikhaaya gya hai us jgha par click kar de.
Uske baad apke samne ek esa page open ho kar ayega or apse kaha jayega ki aap apna link save kar le. To iske liye apko jahan par uper tasveer me dikhaaya jaa rha hai us jgha par click kar de.
Ab apke samne ek esa interface open ho kar ayega, Yahan par jo jo apse pucha jaaye vo sabhi kuch aap bhar de or apni url mention karna bilkul bhi na bhoole. Or jab aap esa kr lenge to uske bad save changes ke uper click kar de.
Abhi apki jo URL hai vo update ho chuki hai or apko ek or backlink mil chuka hai. To dosto is process ko follow kar ke aap apna ek or backlink bna lenge.
Conclusion:
Is process ko follow karne ke baad apke paas apni website ke liye 5 or backlink mil jayege. Or dosto asha krta hu ki apko samjh aa rha hoga sab kuch jo bhi me likhta hu. Or yadi koi bhi confusion ho to aap mujhe contact kar ke puch skte hai.
Or Earning Tips In Hindi ka facebook page like karna bilkul bhi na bhoole taki apko is website me kya chal rha hai ye sabhi kuch jankaari milti rahe.
Or dosto bahut hi jaldi backlink kaise banaye is series ka next article bhi publish hone wala hai isliye website se jude rahe. Aap sabhi ka dhanybaad.
1 Comments
waiting for next part
ReplyDelete