November 10, 2018

Backlink Kya Hai | Padhe Backlink Banane Ka Step by Step Tarika

Backlink Kya Hai | Padhe Backlink Banane Ka Step by Step Tarika




Namaskaar dosto apka dost apka bhai apka yaar aap sabhi ka Earning Tips In Hindi me swagat karta hai.Agr apke paas apni website nahi hai to aap yahan se seekh skte khai, Google Par Website Kaise Banaye. Or agr apke paas pehle se hi blog hai to aapne bhi backlink ke bare me kahi na kahi se suna hoga or fir apke dimag me bhi khyaal aaya hoga ki akhir ye backlink kya hai. 


Jab bhi aapne article ya website ko rank kaise kare is bare me search karne ki koshis ki hogi to us samay ek baat apne bhi jaroor suni hogi or vo ye hogi ki yadi apko apna article or website rank karwani hai to aap backlinks banao, or fir aapne ye search krna shuru kiya hoga ki backlink kaise banaye.

Par akhir me search krne ke bad apko kuch na kuch to pta chla bhi hoga par vo sabhi kuch waste hota hai usse naam matr ke backink hi bante hai jinka koi fayda nahi hota hai. To aaj me apko batata hu ki akhir backlink kya hai or akhir backlink banaye kaise jate hai.

Backlink kya hai:

Jab bhi kisi website ka link kisi dusri website me paaya jaata hai to use backlink kehte hai. Dekhiye dosto mujhe pta hai bahut se dosto ko ye uper wali line samjh nahi aayi hogi to me apko ek example se samjhaata hu.

Jaise mene apni website par abhi likha "google.com" to ye jo link yaha par bna ye hua google ke liye ek backlink. Or ise hi backlink kehte hai
Example: Jab Earningtipsinhindi.com ye link kisi dusri website me mile to iska arth hua ki mujhe us website se ek backlink prapt hai. Or isi process ko backlink kha jata hai. Or dusro ki site me apna link chodne ki process ko hi backlink banana kehte hai.

Backlink Kitne Prakar Ke Hote Hai:

Dekhiye dosto vese to backlink do prakaar ke hote hai or ye dono prakar ke backlink ke bare me mene neeche bistaar se samjhane ki kosis ki hai ki akhir in dono backlinks me kya anter hota hai.

1. No-Follow Backlink

2. DO-Follow Backlink


1.No-Follow Backlink:

Dekhiye jaise ki apko naam se hi pta chal rha hoga ki isme follow karne se mna kiya jaa rha hai. Jab bhi kisi website me koi kisi link ko No-Follow tag deta hai to jab google ka crawler us website ko crawl kar rha hota hai to google ka crawler us website ko follow nahi krta hai. Or is link ko keval human hi read kar skta hai or machine ise read nahi karti hai. Kyoki us link ke sath no-follow tag add kiya hota hai isse link juice aage paas nahi hota hai.
<a href="www.earningtipsinhindi.comrel="nofollow">Earning Tips In hindi</a>

2.Do-Follow Backlinks:

Jab bhi kisi webpage par koi link banaaya jaata hai to us samay vo automatically do-follow link hi hota hai, us link ko no-follow khud banaaya jaata hai. To esa link jab bhi kisi webpage me google ke crawler ko milta hai to vo is link ko follow kar ke us webpage ko bhi scan krta hai jis webpage ka do-follow backlink hota hai. Or isse ek website se dusri website ko link juice bhi paas hota hai.
<a href="www.earningtipsinhindi.com">Earning Tips In Hindi</a>

Abhi aap samjh gaye honge ki do-follow link or no-follow link me kya anter hota hai or backlink kya hai. Backlink banante samay kuch terms ko istemal kiya jaata hai jinhe backlink banane se pehle janana bahut jaroori hai to chaliye batate hai apko un terms ke bare me jo ki backlink banate samay istemal hoti hai.

Link Juice:

Jab bhi koi Do-follow backlink se google ka crawler link ko follow karta hai to us samay ek website se dusri website ko link juice paas hota hai jisse domain authority increase karne or article rank karne me asani rhti hai.
Example: Jaise meri website ko kisi dusri website se dofollow back link mila hua hai, to jab google ka crawler us website se meri website me ayega to us samay us website se meri website ko link juice milega jisse ki domain authority or article rank badhega. Or isi porocess ko link juice kaha jaata hai.

Internal Backlinks:

Jab koi apni hi website ko apne hi kisi article se backlink deta hai to use hi internal backlink kaha jaata hai. Or har blogger iska istemal krta hai taaki uski website ke har ek article tak reader jaa sake.
Example: Jaise mene hi apne kisi article me apne hi kisi dusre article ka link de diya to use hi internal backlink kaha jaata hai. Jisme me apni hi website ke ek article ko dusre kisi article se link kar dunga.

External Backlink:

Jab bhi me apni website me kisi other website ka link dunga to use hi external backlink kaha jaata hai.
Example: Jaise mene apni website me wikipedia ya google ya koi bhi or achi website ka link daala hai to use external backlink kaha jaata hai.

Anchor Text:

jab bhi kisi text ko Hypertext ke liye istemal kiya jaata hai use hi Anchor Text kaha jaata hai. Jaise ki uper likha hoga Earning Tips In Hindi or jab aap is text par clik karege to meri website open ho jaeygi to isi text ko ham Anchor Text kehte hai.

Backlink Banane Ke Fayde:

Search Engine ranking me improvement hoti hai, jab apke backlink badhege to search engine me vese vese aap uper aate jaeyge.
Example: Agr apke abhi 10 backlink hai or aap google ke 10th page par rank kar rahe hai to jab apke 100 backlink ho jayege to aap apne aap google ke first two pages me aa jayege.

Or backlinks ke karn apki traffic bhi increase hogi. jab aap apna link kinhi dusri website par doge to wahan se log apka link follow kar ke apka article padhne ke liye bhi aate hai jisse ki apki traffic bhi increase hoti hai. Or abhi aap samjh gaye honge ki backlink kya hai or backlink banane ke fayde kya hai.

Do-Follow Backlink Banane Ka Step By Step Tarika:

Neeche vo tareeke likhe hai jo ki har koi batata hai par very important point padhna bilkul na bhoole.
1. Dusre blogs me jaa kar comment karna shuru kare jisse ki apko backlink milege.
2. Dusre bloggers ko kahen ki apko backlink de.
3. Dusro ki website me guest post kare.

Very Very Importat:

Dekhiye dosto uper diye gaye method to har koi batata hai par uper diye gaye methods se backlinks lena bahut hi jada muskil hota hai to me aapke liye kuch special le kar aaya hu or apko pasand bhi ayega.

Dosto me aap sabhi ko har hafte 2 se 3 ese articles le kar aunga jisme kuch websites ki list hogi or unse me apko backlink kaise lena hai vo sikhaunga. Or han koi list 1000 or 500 websites ki nahi hogi me har hafte articles le kar ayunga har article me 5 website hogi or unse backlink kaise le ye bhi bataaya jayega vo bhi pura practically with images. Or har ek backlink jo hoga vo Do-Follow hi hoga.

Or ek point or ap sabhi ke liye important, jisne bhi comment box me apni URL likhi hogi me unhi blogs me se kuch blogs utha lia karunga or unke liye backlink bna diya karunga or sath me photos le kar apko bhi btaunga ki kaise mene ye backlink create kiya hai jisse ki apka bhi fayda ho or apko seekhne ko bhi mile. Or isliye apne-apne domain names comment krna bilkul bhi na bhoole.

  Read 1st part:  Website Ke Liye Do-Follow Backlinks Banaye Part-1

Or mera facebook page like jaroor kar de jab bhi me dofollow backlink ke liye koi article post karunga me usme update kar dunga to aapko pta chal jayega ki nyaa article aa chuka hai. Isliye facebook page like jaroor kar de. Or mera whatsapp number uper contact us page me mozood hai kuch bhi baat karni ho to aap kar skte hai.