Google AdSense Account Approved Kaise Kare



google-adsense-account-approved-kaise-kare


Apna blog ya fir apni website banane ke baad jo sabse bda sawaal dil me uthata hai vo hota hai  'Adsense Account Approved Kaise kare' . Blog banane ke baad ham log jaldi se adsense ke liye apply kar dete hai or sochte hai ki adsense agle hi din hamaara adsense account apporove kar dega.


Prantu hota ye hai ki jldi apply krne ke chakr me pehle to kayi din adsense ka koi reply aata hi nahi hai or jab aata hai to usme likha hota hai ki apka adsense account request dissaproved kar di gayi hai, or aap agli baar try kare. To dosto aap logo ka jaada samay barbad na karte hue shuru krte hai vo usefull tips jo hame adsense account apply krte samay dhyaan rkhni hoti hai.

Google Adsense account Apporved kaise kare tips: 

Dekhiye dosto baki blogger jo bhi likhte hai vo galat likhte hai ye me nahi keh rha hu par vo log adsense account approval  ko esa bna kar baith gaye hai ki jaise addsense account approve karwaana bahut muksil hai. Aap neeche di gayi tips ko follow karo or dekho kaise apka adsense account jldi se approve hota hai.

Template:

Sabse jaada jaroori cheez jo hai google adsense account approved kaise kare iske liye vo hai apka template jo ki sabse jaada important hota hai, isliye hmesha try kare ki apki website ka jo template ho vo behtar se bhi behtar ho.

https://www.earningtipsinhindi.com/2018/08/google-adsense-account-kaise-banaye.html

Navigation Bar:

Har website ke uper ek navigation baar hota hai or vo isliye use kiya jaata hai taaki koi agr website par kuch kar rha ho or kisi or page par pahuch jaaye to vo website me gum na ho jaaye or araam se navigation bar ka istemal kar ke vo araam se apki website navigate kar sake.

https://www.earningtipsinhindi.com/2018/08/google-adsense-account-kaise-banaye.html

Domain name:

Agr aap chahte hai ki apka adsense jldi se jldi approve ho jaaye to aapko domain name jo hai vo top level hona chahiye Exaple : www.earningtipsinhindi.com . Agr aap domain name ko esa le rahe hai jiske end me .xyz/.abc/.me/.tk etc ya fir kuch or bhi jo ki free me available hote hai to apka adsense apporve hone me isse muskil khadi ho skti hai. Or yadi apko nahi pta blog me domain name kaise add krte hai to aap yaha se jaan skte hai Blog Me Domain Name Kaise Add Kare.

https://www.earningtipsinhindi.com/2018/08/google-adsense-account-kaise-banaye.html

Important Pages:

Apki website me kuch important page hona jaroori hai jinhe ki google adsense approval dene se pehle check krta hai jaise ki Contact Me , Privacy policy and About. Agr apko nahi pta ki ye page kaise hote hai to aap meri isi website ke uper dekh skte hai in teeno pages ko or vese hi aap apni website me bhi create kar de.

Content: 

Apki website par jo bhi content aap post kare apko yaad rkhna hai ki vo saara ka saara content original ho na ki kahi se copy paste kiya hua. Yadi apki website par copy paste material paaya jaata hai to apko kabhi bhi adsense apporve nahi krne waala hai.

Posts:

Kam se kam 10-20 post likhne ke baad hi aap google adsense ke liye apply kare, esa na kare ki abhi ek bhi post nahi likhi hai or adsense ko apply kar ke baith jao.

Regularity:

Google check krta hai ki aap post daal bhi rahe ho ya fir 20 post daal kar google adsense ko apply kar ke baith gaye hai . To esa bilkul bhi na kare balki har din aap koi na koi post dalte rahe.

Traffic:

Google ye bhi check krta hai ki aap jis website par approval maang rahe hai uske uper koi traffic bhi aati hai ya fir nahi. Isliye jab bhi aap adsense ke liye apply kare to koshis kare ki apki website par thodi bahut traffic aaye fir chahe facebook se hi kyo na aa rahi ho.
Agr apne in sabhi tips ko acchhe se follow kiya to apko dobaara puchne ki jaroort nahi rahegi ki Google Adsense Account Approved Kaise kare or dekhte hi dekhte kuch dino me apka adsense approve ho jayega.

Important :

Apne blog par copy pasted material bilkul bhi na daale.
Jab tak google account approve nahi kar deta aap post likhte rahe.
Agr google adsense ko apporve kar deta hai to self click yani ki khud hi apni ads par click kar ke paise kamane ki koshis na kare.
kam traffic wali website me ads lagane se bhi parhez kare.
Or yadi Google Adsense Account Apporved Kaise Kare is article me koi bhi problem apko aati hai to aap uper diye gaye contact us par lick kar ke mere sath contact kar skte ho mera whatsapp number bhi apko contact us page par mil jayega.

Also read these article;