Breaking

September 16, 2021

Facebook Se Paise Kaise Kamaye (Top 10 Easy Ways)

 Facebook Se Paise Kaise Kamaye

Facebook Se Paise Kaise Kamaye
Facebook Se Paise Kaise Kamaye
Dosto ham sabhi facebook ka istemal har roz krte hai, or ham jab bhi facebook ka istemal karte hai hmare dil me jaroor ye ata hai ki kash koi esa tareeka hota jisse ham facebook se paise earn kar pate. To aaj ham apke samne 10 ese tareeke lekar hazir hue hai jinhe padhkar apko apke sawal "Facebook Se Paise Kaise Kamaye" ka jawab mil jayega. To jyada samay barbaad na karte hue shuru karte hai aj ka topic.

Facebook Se Paise Kaise Kamaye

  1. Paid Task
  2. Provide Service
  3. Paid Affiliate Marketing
  4. Divert Traffic To Website
  5. Sponsored Posts
  6. Organic Affiliate
  7. Selling Own Porducts
  8. Account Selling
  9. Pages
  10. Groups 

1.Paid Task

Bahut se facebook par ese log hn jo aaj ke samaye me paid task perform karke earning kar rahe hai. Isme log page like karne, comment karne jaise kam karne ke apko pay karte hai. Log apko paise denge or apko wo kaam karna hai jiske liye apko paise diye gaye hai.

2.Provide Service

Agr apke pas koi talent hai jisse logo ki help ho skti hai to aap us talent ka istemal karke unki help karne ke liye unhe charge kar skte hai, blogging ki field me aaj ke samay me bahut se ese kam hai jinhe karwane ke liye bloggers facebook par ese logo ko dhundte rhte hai. Example Content writing, story writing, photo editing, coding, designing etc.

3.Paid Affiliate Marketing

Bahut se log ese bhi hai jo facebook par dusre logo ke products ko promote karke paise kamate hai, leking iske liye unhe khud bhi kuch paise lagane pdte hai. Iske bare me adhik jankari aap youtube se le skte hai.

4.Divert Traffic To Website

Bahut se log ese hai jo ki apni page or group ke traffic ko apni website par divert karke earning kar rahe hai, Iske liye website kisi na kisi trah se monetized honi jaroori hai.

Also Read: Google Par Free Website Kaise Banaye

5.Sponsored posts

Agr apke paas koi esa page ya fir group hai jisme ki bahut se followers hai to log apko khud approach karte hai sponsored posts publish karne ke liye. Aap unse kuch amount charge karke unki post ko apne page par publish kar skte hai.

6.Organic Affiliate

Jaise uper Paid Affiliate ki baat ki thi vese hi organic affiliate bhi ki jaati hai, fark bas itna hai ki paid me apko apni jeb se paise lgane pdte hai jabki organic me sara kaam free me hota hai, par iske liye apke paas koi esa page ya group chahiye jisme ache khase followers ho.

7.Selling Own Products

Agr apke pas apna koi product hai jise aap sell karke paise kma skte hn to apko esa jaroor krna chahiye, agr apka product unique hai or kisi ke bhi paas esa product available nahi hai to apka product log khud buy karenge,

8.Account Selling

Bahut se log ese bhi hai jo facebook ke old account ko buy krte hai, yadi apke paas ese accounts hai jo ki kaafi purane hai to aap unhe sell karke bhi paise kma skte hai.

9.Pages

Page bna kar aap use yadi ek baar grow krwa lete hai or ache khase followers hasil kar lete hai to uske baad usse uper diye trareeke istemal karke khub paisa kma skte hai.

10.Groups

Group me yadi apke bahut se members jude hue hai to aap us group ke through kafi jyada earning kar skte hai. Iske liye apko uper btaye treeke istemal karne honge.

Also Read:

Final Words

dosto, aaj ke samaye me har koi online kuch na kuch earning karna chahta hai, yadi aap bhi unme se ek hai to aapne bhi kabhi na kabhi Facebook Se Paise Kaise Kamaye google par jaroor search kiya hoga. To asha krta hu ki apko apke is swal ka jawab mil hi gya hoga. Or yadi aap or bhi kuch ese treeke janna chahte hai jisse aap online earning kar ske to aap hmari website earningtipsinhindi.com ko visit kar ese treeke jaan skte hai.