Namaskaar dosto aap
sabhi ka mere blog me swagat hai. Dosto aaj me yaha aap sabhi ko UC News
We-media par account kaise bnaya jaata hai vo sikhane wala hu. Isliye neeche
likhe hue steps ko thoda dhyaan se padhe.
Step 1:
1.
Sabse phle mp.ucweb.com apne browser me open kare, open karte hi apke samne neeche
diya hua page open hoga.
2.
Uske baad diye hue sign up button ke uper click kare jaise ki uper picture me dikhaya gya
hai.
Step 2:
Iske baad aapke samne
neeche di gayi tasveer jaisa ek page open ho jayega, ab usme jo bhi fields
bhrna jaroori hai usme apna data neeche di hui detail jaise bharte jaaye.
1.
Jo Email ID apki active
ho vo Email ID yaha enter kar de.
2.
Jo password aap rkhna
chahte ho vo password aap yaha par bhar de.
3.
Jo password apne step 2
me bhra tha vohi password ek baar fir se bhar de.
4.
Invitation code bhrna
jaroori nahi hai isliye is jgha ko khali hi rhne de.
5.
Sath me diye hue box se
capta dekh kar bhar de, or yadi samjh nahi aa rha ho to aap sath me diye hue
refresh option ka bhi istemaal kar skte hai.
6.
uske baad inki terms
and condtion padh kar uspe tick kar de.
7.
uske baad continue par click kar aage badh jaaye.
Step 3:
iske baad neeche di gayi
screen ki trh ki ek screen khul kar apke samne aa jayegi. Or usse aap apni
Email ID ko opn kar le.
Step 4:
Jab aap apni Email ID
open kar ke dekhege to aapko UCWeb ki or se ek new mail aaya hua dikhai dega
uske uper clik kar de.
jab aap iske uper click
karege to apke samne kuch esi screen ayegi, diye gaye arrow ke according click
kar apni Email ID ko confirm kar le.
Step 5:
Ab apke computer screen
ke uper kuch esi screen open ho jayegi yaha apke samne 2 option dekhne ko
milege ek hoga Person or dusra hoga Agency ka.
Person- Yadi aap akele iske uper kaam krne wale ho
to person ka chunaav kar le.
Agency- Yadi aapki koi team hai to aap Agency ka
chunaav kar skte ho.
Yadi apne uper diye
option me se apne liye sehi option chun liya ho to uske baad continue par click kar de.
Step6:
Iske baad aapke samne
neeche di gayi tasveer jaisi screen open hogi uske baad in steps ko follow
kare.
1.
Jo bhi aap apne account
ka naam rkhna chahte hai vo naam yaha par bhar de Example: viral adda,
fun for ever etc jo bhi aap rkhna chahe rakh skte hai yahi naam sabhi
ko dikhne wala hai jo ki aage chal kar apki pehchaan hogi.
2.
Category select karte
samay thoda dhyaan se hi select kar, jis bhi cheez me aap likhna chahte hai usi
ke according apni category ka chunaav kare Example: yadi aap
bollywood, hollywood or bollywood actors ke baare me likhna chahte hai to aap
Entertainment choose kar skte hai.
3.
Yaha Par us Language ka
chnaav kar jis Language me aap likhna chahte hai jaise ki Hindi, Engilsh or koi
bhi Languge jispe aap likhna chaahe.
4.
Yaha par apko apna naam
likhna padega or yaad rakhe jo naam apka documents me ho aap usi naam ka
istemaal kare nahi to aage chal kar apko musibat ka samna karna pad skta hai.
5.
Yaha par apko apni
personal ID choose krni hai jo option diye jayege unme se ek.
6.
Yaha pan apko apna Pan
Card number dalna hai, or yadi aapke paas pan nahi hai to apke paas 2 option
hai. Ya to aap apni family member ke naam se account bna kar unka pan card
istemaal kar skte hai, or dusra rasta ye hai ki aap apne liye Pan Card apply
kar de.
8.
Jo mobile number apka
active ho vohi number yaha par daale.
9.
Yadi apka ko blog hai to
yaha par uska address daal de or yadi nahi hai to khali chod de.
10.
Yadi apka Linkedin
account hai to yaha enter kar de.
11.
Apni facebook ki ID yaha
enter kar de.
12.
Yadi apka koi Youtube
chanel hai to use yaha par enter kar de.
13.
Yadi apka koi Instagram
par account hai to uski ID yaha enter kar de.
14.
Or yaha par Twitter ki
ID enter kar de.
15.
Terms and condition
padhne ke baad aap iske uper tick kar de.
16.
Or uske baad continue par click kar ke aage badh jaaye.
Step 7:
Iske baad apke account
ka status Pendind dikhayega. Jo ki 3 working days lega active hone me.
3 din hone ke baad apka
account kuch esa show karega jiska matlab hai ki apka account active ho chuka
hai or aap abhi likhne ke liye tyaar hai. Or jab apka account oper ho jayega to aap yaha click krke seekh skte hai ki uc news wemedia par phla article kaise likha jaata hai.
SEND ME PROCES TO EARN MONEY
ReplyDeleteHillo
ReplyDeleteMe sex videos
ReplyDelete